We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Bahadur Yaar Jung

by E Sharp

/
  • Streaming + Download

    Includes unlimited streaming via the free Bandcamp app, plus high-quality download in MP3, FLAC and more.
    Purchasable with gift card

      $8 USD  or more

     

1.
Chorh De 01:15
Bahadur yaar chorh de ye jung, tu thak gaya hai
2.
Aaj subah maine suna kay is sheher mai koi hoa fana Dekhoun usay mai agar toh youn lagay kay mai he khara Kehti thien ye ammi mujhe kay aadmi na banna bura Ab kaise ye keh doun unhay kay wo hoa jo kabhe nahe kaha Aaeyay, farmayeay kay kaise ja raha hoon mai dozakh mai Aap ko kya ye bhe pata hai dozakh ka manzar kya hai? Aa kay dekhein kabhe meri zindagi mai toh pata chalay kay dozakh kya hai
3.
Abhe abhe meray dil mai ye khayal aaya hai Barhna mai chahta hoon apni manzil ki oar Ab mai uthaoun ga apnay hathiyaar ko Aur mai chaloun ga, bina khauf barhta rahoun ga Abhe abhe meray dil mai ye khayal aaya hai Mushkilein toh meray raastoun main hain youn khari Par mera hosla apnay urooj par hai Aankhoun mai aankhein daal kar bina khauf barhta rahoun ga Kon rokay ga mujh ko, kon banay ga deewaar Kon chalay ga meray saath, chaloun ga mai teray he naam Mai banuga ga bahadur, mai laroun ga ye jung
4.
Sheher ko aag tum lagao gai, aray is se kya hoga? Qoum ko kya tum jagao gai, aray is se kya hoga? Mulk humara ye bechara gaya kutto kay aagay Farz humara yehi hai ab, khana aagay hum daalein Aray is se kya hoga? Choro Aray is se kya hoga? Solo Aray is se kya hoga? Bolo Aray is se kya hoga Gali gali mai shor hai, siyasatdaan chor hain saalay Par humare rehnuma hain Tagree in ki chaal hai, jaib mai bara maal hai inkay Sarak pe majma lagao gai, aray is se kya hoga? Maulvi ho fatwa lagao gai, aray is se kya hoga? Mulk humara ye bechara gaya kutto kay aagay Farz humara yehi hai ab, khana aagay hum daalein Aray is se kya hoga? Choro Aray is se kya hoga? Solo Aray is se kya hoga? Bolo Aray is se kya hoga
5.
Suno meri awaaz, band karo bakwas Nahin chahye humein tera koi khayal Yehi ek system hai issi per chalna hai Saath barson se yeh tor tareeqa hai Mere bache or dost chordo who khwaab Karo wohi jo hai maashre main aam Na tum Junoon ho na ho tum Alamgir Na ho tum Vital Signs na hi Sajjad Ali Nizam-e-Zindagi 9 se 5 kaam Achi salary ho kerlo jaldi nikkah Do teen bache nikalo hogayi family poori Burhapa pension per na hogi tension koi Kaise yeh sochlia tumne k tum raho ge azaad Kaise yeh boldia tumne k yeh tera khwaab Tum Kuch nahin Kersaktay
6.
Ghabra gaye hai, sharma gaye hai mujh se zindagi Kehti hai mujh ko ye bata ray Kyun mushkilo mai tu ghira ray Tehra gaye hai, langra rahe hai meri ye zindagi Is ko tu pairo pe utha le Bigri ko apni tu bana le Kya maine socha, kya hoa? Zindagi toh hai ek jua Kya maine maangna, kya mila? Aise kaamo ka hai ye sila Khamosh aankhein kartiein hain kya bayaan tujhko Aankho mai kya likha hai? Jeenay ka maqsad mujh ko dikha hai Phir kyun tamashahi ban kay sahaein sub kuch Khamoshi mai bhe kya rakha hai?
7.
Baatein toh sub yahan kartay hain, Baato se kabhe maslay toh hal nahe hotay hain Boltay thaktay nahe log yahan, sach se anjaan roz yahan sotay hain Puri hoe ab toh ye zindagi, fursat na mujhko mili kay sochoun mai Kay agar hum chahein toh kya khwab hai? Hal kar na paayein aisa phir kya raaz hai?
8.
Sach Ki Jung 05:24
Such ki jung larh raha hoon mai akela Koi toh ho jo saath day Chahiye aman jo kab se hai nahe jag mai phela Koi toh ho jo saath day Hoe bhazam khwab jo bhe is dil ne dekhay Umeed ko parvaaz day Kaisa bharam jub koi bhe nahe saath meray Kabhe koi awaaz day Duniya ko choro tum, moun such se na moro tum Pyar hai toh aag hai, aag hai toh hai junoon Wo din bhe phir aayega, jag ye sara gaye ga teray he gun Kabhe chor doh mujhe apnay haal pay
9.
Sooli 08:40
Sooli pe mai jo charha Ye kya se kya hogaya Khawab lachaar hoe Kab se faraar hoe Kamyaabi kay kissay beshumaar hoe Waise toh saaray ek symth mai he jaa rahe hain Par jatay jatay phir bhe yehi gaa rahe hain Kay "mujh ko chaand bhe dedo Sooraj bhe dedo Ye taaray saray humaray kub hoon gai? Mera dil tum lelo, rooh bhe tum lelo Aur lelo ye eemaan" Khoye hain hum kahan Soya hai zameer jahan Kho gaye jo pehchaan thi Kho raha hai ye eemaan Aankhein meri jub khulein Duniya samajh mai aanay lagi Kaisa bazaar hai ye Sar pe sawaar hai ye Kehte ho theek jisko bekaar hai ye Waise toh saaray acha he kha rahe hain Phir khatay khatay phir bhe yehi gaa rahe hain Kay "mujh ko chaand bhe dedo Sooraj bhe dedo Ye taaray saray humaray kub hoon gai? Mera dil tum lelo, rooh bhe tum lelo Aur lelo ye eemaan" Khoye hain hum kahan Soya hai zameer jahan Kho gaye jo pehchaan thi Kho raha hai ye eemaan
10.
Main Banunga Bahadur Main Larunga Yeh Jang Main Banunga Bahadur Main Larunga Yeh Jang Abhi meri Dastaan ka yeh pehla sabaq hai Abhi meri zindagi ka yeh pehle mor hai Kahan gaye woh log mere saath khare thay Koi peeche hatt gaya koi dur chal diye Duniya k is shor main mujhe tanha ker gaye Ab koi bhi dewaar mujhe rokay gi nahin Ab koi bhi zubaan mujhe tokay gi nahin Main banunga bahadur main larunga yeh jang Main banunga bahadur main larunga yeh jang
11.
Aaj niklay aasmaan ko ye giraanay Gaatay hoe jeet kay ye taranay Duniya ko aaj phir ye dikhanay Such hai abhe yahan Aagay peechay chor kay phir janay lage Dost jo thay peeth wo dikhanay lage Duniya kay dastoor samaj aanay lage Hosh mai hain sub kahan? Jeena marna dushwar hone laga Sachai se aitebaar khonay laga Jaaga abhe tha wo bhe sonay laga Kaisa hai ye eemaan? Bahadur Kursi pe bethay toh ehsaas aanay laga Noto ka nasha zehen pe chanay laga Lootnay ka khayal dil ko bhanay laga Looto ho jub tak yahan Kal jo roothay aaj phir aanay lage Shaan mai kaseeday sunanay lage Mil kar mujhe ye samjhanay lage "Chalta hai sub yahan" Zindagi ka naksha badalnay laga Girta hoa ghar sambhalnay laga Har baat pe taanay denay wale Thoktay hain salam Bahadur Yaar Jung Bahadur kay zameer ko josh aaya Bahadur ne eemaan ka baira uthaya Bahadur kay apnay toh sub gaye Bahadur ne dharti ko yaar banaya Bahadur ne khud ko phir sambhala Bahadur ne sach ko dil se nikala Bahadur hum hain toh sahi Bahadur hum nahe
12.
Aao meray yaaro sub gaao ye tarana Tarraqqi ki seeriyon pe tum ko hai charhana Sach, zameer hota hai kahaniyon kay naamo mai Haan, haan Waise he karo tum jaisa tum ko bataoun Seekhtay jao jaisa tum ko sikhaoun Aisa toh hota hai is tarhan kay kaamo mai Haan, haan Chaltay jao tum Bahadur lamba tera rasta hai Koriyon kay daamo se zameer yahan sasta hai Hum toh tere peechay peechay aayein gai Dekh kar tujh he ko hum bhe deen apna banayein gai Khaatay jao tum Bahadur, paith kitna mota hai Rishwat kay bazaar mai phir bhe ye sikka khota hai Hum toh tera jhoota khana bhe khayein gai Tere he karam se do dariya pay ghar banayein gai Na humay dar koi, na fikar koi chaltay hum ko jaana hai Samaaj mai aagay barhnay kay liye gaana ye taraana hai
13.
Awaam ka ghulam, ayyaashi mera kaam Ab bolo subh o sham “Note aanay day!” Aagay peechay duniya bhaagay Mushkil kya hai meray aagay Paiso ki gar baat ho toh Aajana tum dum daba kay Kay mai hoon Sarkari Mulazim Aap ki rishwato ka haazim Kay mai hoon awaam ka ghulam Pila doh mujhe rishwato ka jaam Sun mera ye naam “Oh rehn de!” Mushkil hai ye zamana Paisa nahe ho toh paas na aana Noto ki ek barish kar kay Mujh ko tum us mai bahana Kay mai hoon Sarkari Mulazim Aap ki rishwato ka haazim Kay mai hoon awaam ka ghulam Pila doh mujhe rishwato ka jaam Sun mera ye naam Bahadur!!
14.
Haan, zindagi palat ti rehti hai har din meri Har khushi ki qeemat deni parti hai mujhe Sochta tha badal dunga main taqdeer ko apni Dekhta hun samne apne who raaste Or kehta hai dil mujhse k Sab kuch theek hogaya hai Haan, kitne lamhe tumhe bhoolne main mere yun beet gaye Kitni khwahishen raaste maine apne badle Koi gila nahin koi dua nahin yeh jaanta hun main Aaj bhi sab kerte hain yaad mujhe naam se or Kehta hai dil mujhse k Sab kuch theek hogaya hai Sab kuch theek hogaya hai
15.
Kal raat ka nasha abhe aankhon se gaya nahe Itna pagal hogaya hoon jitna pehle kabhe hoa nahe Tum jo nahe toh taaray doobay Armaan meray pattay sookhay sookhay Tum jo aayi toh jaise sehra mai paani ki jhalak mujh ko soojay Mai tujh ko apna banana he toh chahta hoon Mai teri baahoun mai aana he toh chahta hoon
16.
Ek Haseena 04:30
Aise na dekho main teri aankhon main Dooba ja raha hun koi mujhko bachaye Main teri baahon main ana nahin chahta hun Ek Haseena, Ek Haseena Mujhko bulaye, mujhko behkaye Aise na dekho meri teri aankhon main Behka ja raha hun koi to mujhko bachaye Main teri bahon main ana hi to chahta hun Ek Haseena, Ek Haseena Mujhko sataye, mujhko tarpaye
17.
Dimagh ab tera sunn hoa Baadalo ka bhe rung surkh hoa Bus thora sa aur intezar Girnay ko hai ye deewaar
18.
Sarmast 01:02
19.
Chehray 04:00
Kaise badalte hain yeh chehre mere Kaise rang charhte hain in ankhon main Kahan khara hun main kis zameen pe Kaisa zakham hai kabhi marham hai yeh Haan, bolo zara Main tumhe sun na saka Koi awaz to arahi hai Per alfaaz samajh na paon main Dekho who ek jhoot Saye ki tarah Mere saath ghoomta raha Or main bhool na saka Wohi raaz jo mere saath Bandha hua hai Main akela hi chala tha Akela hi khara hun ab tak
20.
Kya mai kahoon tum se abhe? Khamoshio mai hai zindagi Ye toh mujhe khud bhe pata nahe Kay kya mai hoon aur kya mai nahe
21.
Baarish ki boondoun mai, dhundlay raastay ko Samandar kay kinaray rasta mera hai jo Duur se dekhta hoon dhaltay suraj ko Baarish ki boondoun mai rasta mera hai jo Tu be sun le ab Ye dua jo karte hain hum wo lafz he toh hain mere yaar Jo kuch bhe likha hai afsaano mai keh chukay hain log yahan beshumaar Ab kya hai koi jo lori gaa kay sulaye? Boye wo aisa beej jo gulistaan banaye Jo bhe hai choro yaar, ab mai chala, dukha gala Aandhi hai, doob raha hoon

about

E Sharp is a Karachi based band who have been playing the underground scene for a while now and are already known by their covers of classic rock music. They have now created and released their own concept Urdu rock album, titled ‘Bahadur Yaar Jung’ (BYJ). The band describes the album as a storyline being unfolded by every song, on the life of the protagonist Bahadur. The 21 songs in the album describe Bahadur's emotions, thoughts, struggles, successes and failures as he journeys through life.

For Sabeen

credits

released May 2, 2015

E Sharp is

Ahmed Zawar
Anwaar Ahmed
Qumber Kazmi
Zia Zaidi

license

all rights reserved

tags

about

E Sharp Karachi, Pakistan

contact / help

Contact E Sharp

Streaming and
Download help

Report this album or account

If you like E Sharp, you may also like: