We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Bahadur Yaar Jung

from Bahadur Yaar Jung by E Sharp

/
  • Streaming + Download

    Includes unlimited streaming via the free Bandcamp app, plus high-quality download in MP3, FLAC and more.
    Purchasable with gift card

      $1 USD  or more

     

lyrics

Aaj niklay aasmaan ko ye giraanay
Gaatay hoe jeet kay ye taranay
Duniya ko aaj phir ye dikhanay
Such hai abhe yahan
Aagay peechay chor kay phir janay lage
Dost jo thay peeth wo dikhanay lage
Duniya kay dastoor samaj aanay lage
Hosh mai hain sub kahan?

Jeena marna dushwar hone laga
Sachai se aitebaar khonay laga
Jaaga abhe tha wo bhe sonay laga
Kaisa hai ye eemaan?

Bahadur

Kursi pe bethay toh ehsaas aanay laga
Noto ka nasha zehen pe chanay laga
Lootnay ka khayal dil ko bhanay laga
Looto ho jub tak yahan
Kal jo roothay aaj phir aanay lage
Shaan mai kaseeday sunanay lage
Mil kar mujhe ye samjhanay lage
"Chalta hai sub yahan"

Zindagi ka naksha badalnay laga
Girta hoa ghar sambhalnay laga
Har baat pe taanay denay wale
Thoktay hain salam

Bahadur Yaar Jung

Bahadur kay zameer ko josh aaya
Bahadur ne eemaan ka baira uthaya
Bahadur kay apnay toh sub gaye
Bahadur ne dharti ko yaar banaya
Bahadur ne khud ko phir sambhala
Bahadur ne sach ko dil se nikala
Bahadur hum hain toh sahi
Bahadur hum nahe

credits

from Bahadur Yaar Jung, released May 2, 2015
Written by Ahmed Zawar
Engineered by Qumber Kazmi and Anwaar Ahmed
Produced by Anwaar Ahmed

Ahmed Zawar: Lead vocals, acoustic guitar (reprise), harmonies (reprise)
Anwaar Ahmed: Lead guitar, rhythm guitar, bass
Zia Zaidi: Lead vocals (reprise), bass (reprise), additional guitar
Qumber Kazmi: Drums

license

all rights reserved

tags

about

E Sharp Karachi, Pakistan

contact / help

Contact E Sharp

Streaming and
Download help

Report this track or account

If you like E Sharp, you may also like: